A Tribute to
Malik Mumtaz Hussain Qadiri al-Ghazi
Malik Mumtaz tu bayshak hay meri Qoum ka Ghazi
Ae Meray Qadiri Dulha! Hain tujh se Mustafa Raazi
Teri Gherat,Tera Jazba, Tera ye Josh-e-Imani
Quloob-e-Mominaa(n) mein phir Jaga dega Khudi Saazi
Har ek Mal'oon Shaatim ko Saza-e-Maut hay laazim
Yahi hay Adl-e-Farooqi, yahi hay Maslak-e-Qazi
Ye Batla do Har Ek Gustakh ko aur Uss ke Haami ko
Malik Mumtaz hi Ik bass nahin, har Sunni hay Ghazi
Teri Soorat Teri Seerat mein Aisa Noor hay Chamka
kay Roshan Aanay wala Kal tera, Naazaa(n) Tera Maazi
Jo Tu ne kar dikhaya hay, Yaqeenan Aen-e-Imaa(n) hay
Rahegi Daastan Teri Hamesha Zinda o Taazi
Salam Ae Ghazi-e-Millat, Salam Ae Haadi-e-Ummat
Khila di Dushman-e-Dee(n) ko Jahannum mein Qalabazi
Parray Baktay rahain go ye Yazeed-e-Dor ke Pillay
Alawi Rang hay Tera, Hussaini Teri Jaanbazi
Zaleel-o-Khwar hein ye Iqtidar-o-Maal ke Bhookay
Tu hay Mumtaz hum mein aur Hamari Qoum ka Ghazi
Ya Noor al Aeni, Ya Makhdoomi, Ya Mumtaz al-Ghazi
Habeebi Sayyidi Anta Fu'aadi Anta Ustaazi
Aray Irfan Tu bass baatain karnay hi ka Aadi hay
Haqeeqat mein wo Mard-e-Haqq, wo Ghazi le gaya Baazi
Teri Azmat Teri Shokhat, Shuja'at per Salami ho
Sada-e-Qalb-e-Irfa(n) hay, nahin ye koi Laffazi
No comments:
Post a Comment